ye kis miTTi mein apni mehnaton ko bo gae hain
ye kis miTTī meñ apnī mehnatoñ ko bo ga.e haiñ
yahāñ to sabr ke phal itne kaḌve ho ga.e haiñ
hameñ azbar hai ḳhargosh aur kachhve kī kahānī
so ham kachhve bane haiñ rāste meñ so ga.e haiñ
bhalā maiñ tere kachche āñsuoñ kā kyā karūñgā
mujhe mere parinde itnā achchhā ro ga.e haiñ
aur ab jannat meñ gandum kā bahāna na.iiñ chalegā
ye sab is baar pahle tai kiyā hai to ga.e haiñ
mujhe har shaam dariyā ke kināre kāTnī hai
mire kuchh log us ke pāniyoñ meñ kho ga.e haiñ
bhare bāzār meñ rang-rez un par chīḳhtā thā
tirī chunrī ke kuchh rangoñ ko bādal dho ga.e haiñ
ye kis miTTi mein apni mehnaton ko bo gae hain
yahan to sabr ke phal itne kaDwe ho gae hain
hamein azbar hai KHargosh aur kachhwe ki kahani
so hum kachhwe bane hain raste mein so gae hain
bhala main tere kachche aansuon ka kya karunga
mujhe mere parinde itna achchha ro gae hain
aur ab jannat mein gandum ka bahana nain chalega
ye sab is bar pahle tai kiya hai to gae hain
mujhe har sham dariya ke kinare kaTni hai
mere kuchh log us ke paniyon mein kho gae hain
bhare bazar mein rang-rez un par chiKHta tha
teri chunri ke kuchh rangon ko baadal dho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.