ye kis ne kah diya mujhe rahbar pasand hai
ye kis ne kah diyā mujhe rahbar pasand hai
maiñ ḳhuub jāntā huuñ ki vo shar-pasand hai
pencil hai mere haath meñ kāġhaz hai sāmne
bas ye batā de kaun sā manzar pasand hai
sāhil pe us ke pyaar ne bañgla diyā use
us ne kahā thā mujh ko samundar pasand hai
ye hai hayā kā haal ki maġhrūr hai zavāl
ab kyā savāl kaun sā zevar pasand hai
puḳhta makān vāloñ ko barsāt hai pasand
barsāt ko magar mirā chhappar pasand hai
'zāhid' ne mujh se pūchhā tujhe kaun hai pasand
maiñ ne kahā ki achchhā suḳhanvar pasand hai
ye kis ne kah diya mujhe rahbar pasand hai
main KHub jaanta hun ki wo shar-pasand hai
pencil hai mere hath mein kaghaz hai samne
bas ye bata de kaun sa manzar pasand hai
sahil pe us ke pyar ne bangla diya use
us ne kaha tha mujh ko samundar pasand hai
ye hai haya ka haal ki maghrur hai zawal
ab kya sawal kaun sa zewar pasand hai
puKHta makan walon ko barsat hai pasand
barsat ko magar mera chhappar pasand hai
'zahid' ne mujh se puchha tujhe kaun hai pasand
main ne kaha ki achchha suKHanwar pasand hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.