ye kis ne yun use diwana-war dekha hai
ye kis ne yuuñ use dīvāna-vār dekhā hai
ki us ne apnī taraf bār-bār dekhā hai
mirā mazāq na pūchho bahār ko maiñ ne
haTā ke parda-e-rang-e-bahār dekhā hai
jahāñ se shauq ne sajdoñ ke baa'd uThā.ī jabīñ
vahīñ pe naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār dekhā hai
dikhā rahī hai jo dīvāngī-e-ishq mujhe
kisī ne reh ke kabhī hoshiyār dekhā hai
mirī umīd-e-masarrat pe kyoñ ḳhafā ho tum
banā ke ġham ko kabhī ḳhush-gavār dekhā hai
bajā ki ik hamīñ ahl-e-nazar nahīñ lekin
kisī ne yuuñ tumheñ dīvāna-vār dekhā hai
karāhne lagī mere lahū kī ik ik buuñd
jab un ko apne liye ashk-bār dekhā hai
ye kis ne yun use diwana-war dekha hai
ki us ne apni taraf bar-bar dekha hai
mera mazaq na puchho bahaar ko main ne
haTa ke parda-e-rang-e-bahaar dekha hai
jahan se shauq ne sajdon ke ba'd uThai jabin
wahin pe naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar dekha hai
dikha rahi hai jo diwangi-e-ishq mujhe
kisi ne reh ke kabhi hoshiyar dekha hai
meri umid-e-masarrat pe kyon KHafa ho tum
bana ke gham ko kabhi KHush-gawar dekha hai
baja ki ek hamin ahl-e-nazar nahin lekin
kisi ne yun tumhein diwana-war dekha hai
karahne lagi mere lahu ki ek ek bund
jab un ko apne liye ashk-bar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.