ye kis tazad mein gum hai tere shabab ka rang
ye kis tazād meñ gum hai tire shabāb kā rang
kabhī karam kā muraqqā kabhī itaab kā rang
zarā jo dil kī taḌap meñ ḳhulūs paidā ho
har ek rang pe chhā jaa.e iztirāb kā rang
abhī to aap kā ruḳh tajziye kī zad meñ nahīñ
uḌā uḌā sā hai kis vāste janāb kā rang
kisī kī ḳhaas tavajjoh kā daḳhl hai is meñ
jo lamha lamha badalne lagā ḳhitāb kā rang
har ik ke sāmne be-parda aate jaate ho
faqat hamīñ pe jamāte ho tum itaab kā rang
tulū-e-sub.h alāmat to jazr-o-mad kī nahīñ
abhī se kis liye badlā hai sat.h-e-āb kā rang
ye raushnī to nahīñ hai kisī taġhayyur kī
badal rahā hai jo har lamha āftāb kā rang
ye aur baat ki qātil se bāz-purs na ho
mire lahū kī gavāhī banā gulāb kā rang
mumāsalat kā koī shā.iba nahīñ hai 'sirāj'
kahāñ savāl kā lahja kahāñ javāb kā rang
ye kis tazad mein gum hai tere shabab ka rang
kabhi karam ka muraqqa kabhi itab ka rang
zara jo dil ki taDap mein KHulus paida ho
har ek rang pe chha jae iztirab ka rang
abhi to aap ka ruKH tajziye ki zad mein nahin
uDa uDa sa hai kis waste janab ka rang
kisi ki KHas tawajjoh ka daKHl hai is mein
jo lamha lamha badalne laga KHitab ka rang
har ek ke samne be-parda aate jate ho
faqat hamin pe jamate ho tum itab ka rang
tulu-e-subh alamat to jazr-o-mad ki nahin
abhi se kis liye badla hai sath-e-ab ka rang
ye raushni to nahin hai kisi taghayyur ki
badal raha hai jo har lamha aaftab ka rang
ye aur baat ki qatil se baz-purs na ho
mere lahu ki gawahi bana gulab ka rang
mumasalat ka koi shaiba nahin hai 'siraj'
kahan sawal ka lahja kahan jawab ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.