ye kisi shaKHs ko khone ki talafi Thahra
ye kisī shaḳhs ko khone kī talāfī Thahrā
merā honā mire hone meñ izāfī Thahrā
jurm-e-ādam tirī pādāsh thī duniyā saarī
āḳhirash har koī haq-dār-e-muāfī Thahrā
ye hai tafsīl ki yak-lamha-e-hairat thā koī
muḳhtasar ye ki mirī umr ko kaafī Thahrā
kuchh ayaañ ho na sakā thā tirī āñkhoñ jaisā
vo badan ho ke barahna bhī ġhilāfī Thahrā
jab zamīñ ghuum rahī ho to Thaharnā kaisā
koī Thahrā to Thaharne ke munāfī Thahrā
qāfiya milte ga.e umr ġhazal hotī ga.ī
aur chehra tirā buniyād-e-qavāfī Thahrā
ye kisi shaKHs ko khone ki talafi Thahra
mera hona mere hone mein izafi Thahra
jurm-e-adam teri padash thi duniya sari
aaKHirash har koi haq-dar-e-muafi Thahra
ye hai tafsil ki yak-lamha-e-hairat tha koi
muKHtasar ye ki meri umr ko kafi Thahra
kuchh ayan ho na saka tha teri aankhon jaisa
wo badan ho ke barahna bhi ghilafi Thahra
jab zamin ghum rahi ho to Thaharna kaisa
koi Thahra to Thaharne ke munafi Thahra
qafiya milte gae umr ghazal hoti gai
aur chehra tera buniyaad-e-qawafi Thahra
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 38)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.