ye koi bagh nahin phul khilae jaen
ye koī baaġh nahīñ phuul khilā.e jaa.eñ
dasht meñ aa.e haiñ to ḳhaak uḌaa.e jaa.eñ
sab biThāte haiñ hameñ mansab-o-masnad pe magar
ham ye chāheñ ki tire saath biThā.e jaa.eñ
uñgliyāñ kaan meñ Thūñse hue phirte haiñ sabhī
aap āvāz lagāte haiñ lagā.e jaa.eñ
bas isī shart pe āñkheñ tumheñ de saktā huuñ
in ko dekhe hue manzar na dikhā.e jaa.eñ
inhīñ yādoñ ke sahāre hī tirā hijr kaTe
ye parinde mirī chhat se na uḌaa.e jaa.eñ
āsmāñ chhūne kā haq aap kā taslīm hameñ
kuchh ta'alluq to zamīñ se bhī nibhā.e jaa.eñ
ye koi bagh nahin phul khilae jaen
dasht mein aae hain to KHak uDae jaen
sab biThate hain hamein mansab-o-masnad pe magar
hum ye chahen ki tere sath biThae jaen
ungliyan kan mein Thunse hue phirte hain sabhi
aap aawaz lagate hain lagae jaen
bas isi shart pe aankhen tumhein de sakta hun
in ko dekhe hue manzar na dikhae jaen
inhin yaadon ke sahaare hi tera hijr kaTe
ye parinde meri chhat se na uDae jaen
aasman chhune ka haq aap ka taslim hamein
kuchh ta'alluq to zamin se bhi nibhae jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.