ye kuchh badlaw sa achchha laga hai
ye kuchh badlāv sā achchhā lagā hai
hameñ ik dūsrā achchhā lagā hai
samajhnā hai use nazdīk jā kar
jise mujh sā burā achchhā lagā hai
ye kyā har vaqt jiine kī duā.eñ
yahāñ aisā bhī kyā achchhā lagā hai
safar to zindagī bhar kā hai lekin
ye vaqfa sā zarā achchhā lagā hai
mirī nazreñ bhī haiñ ab āsmāñ par
koī mahv-e-duā achchhā lagā hai
hue barbād jis ke ishq meñ ham
vo ab jā kar zarā achchhā lagā hai
vo sūraj jo mirā dushman thā din bhar
mujhe Dhaltā huā achchhā lagā hai
koī pūchhe to kyā batlā.eñge ham
ki is manzar meñ kyā achchhā lagā hai
ye kuchh badlaw sa achchha laga hai
hamein ek dusra achchha laga hai
samajhna hai use nazdik ja kar
jise mujh sa bura achchha laga hai
ye kya har waqt jine ki duaen
yahan aisa bhi kya achchha laga hai
safar to zindagi bhar ka hai lekin
ye waqfa sa zara achchha laga hai
meri nazren bhi hain ab aasman par
koi mahw-e-dua achchha laga hai
hue barbaad jis ke ishq mein hum
wo ab ja kar zara achchha laga hai
wo suraj jo mera dushman tha din bhar
mujhe Dhalta hua achchha laga hai
koi puchhe to kya batlaenge hum
ki is manzar mein kya achchha laga hai
- Book : Yahan Tak Roshni Aati Kahan Thi (Pg. 101)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Educational Publishing House (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.