ye kufr humne kiya umr-bhar KHuda jaane
ye kufr humne kiya umr-bhar KHuda jaane
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
ye kufr ham ne kiyā umr-bhar ḳhudā jaane
ḳhudā kī zaat ko insāñ se māvarā jaane
qafas meñ aa.e nasheman jalā chaman chhūTā
ab aur kitnī balā.eñ raheñ ḳhudā jaane
banā liyā hai agar ma.asiyat ko maiñ ne mizāj
to is zamīn pe ham bojh haiñ ḳhudā jaane
fareb-e-nafs kā kitnā hasīn pahlū hai
ham apne dard-e-mohabbat ko lā-davā jaane
nigāh-e-mast meñ rūh-e-sharāb hotī hai
nazar se jis ne na pī ho kabhī vo kyā jaane
zabān chup hai nigāheñ kalām kartī haiñ
sukūt meñ ho takallum to koī kyā jaane
hazār baar hameñ vaqt ne batāyā hai
burā vo ḳhud hai zamāne ko jo burā jaane
ḳhirad kī āḳhirī had hai junūñ kā pahlā qadam
ye ibtidā hai to phir intihā ḳhudā jaane
ye kā.enāt hamāre liye banā.ī ga.ī
ḳhudā.ī karne ham aa.e yahāñ ḳhudā jaane
ye kufr hum ne kiya umr-bhar KHuda jaane
KHuda ki zat ko insan se mawara jaane
qafas mein aae nasheman jala chaman chhuTa
ab aur kitni balaen rahen KHuda jaane
bana liya hai agar masiyat ko main ne mizaj
to is zamin pe hum bojh hain KHuda jaane
fareb-e-nafs ka kitna hasin pahlu hai
hum apne dard-e-mohabbat ko la-dawa jaane
nigah-e-mast mein ruh-e-sharab hoti hai
nazar se jis ne na pi ho kabhi wo kya jaane
zaban chup hai nigahen kalam karti hain
sukut mein ho takallum to koi kya jaane
hazar bar hamein waqt ne bataya hai
bura wo KHud hai zamane ko jo bura jaane
KHirad ki aaKHiri had hai junun ka pahla qadam
ye ibtida hai to phir intiha KHuda jaane
ye kaenat hamare liye banai gai
KHudai karne hum aae yahan KHuda jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.