ye kya hangama-e-kaun-o-makan hai
ye kyā hangāmā-e-kaun-o-makāñ hai
maiñ kyā huuñ aur nazar merī kahāñ hai
ye mauj-e-be-qarārī dil meñ kaisī
ye bahr-e-be-karāñ kyūñkar ravāñ hai
ye kyā mā'nī chhupe haiñ sūratoñ meñ
nazar kyoñ sā.il-e-husn-e-bayāñ hai
faqat vahdat kā hī jalva hai lekin
hijāb-e-vahm-e-kasrat darmiyāñ hai
vahī vo hai nahīñ hai ġhair kā daḳhl
yahāñ be-ḳhud nigāh-e-ārifāñ hai
ye kya hangama-e-kaun-o-makan hai
main kya hun aur nazar meri kahan hai
ye mauj-e-be-qarari dil mein kaisi
ye bahr-e-be-karan kyunkar rawan hai
ye kya ma'ni chhupe hain suraton mein
nazar kyon sail-e-husn-e-bayan hai
faqat wahdat ka hi jalwa hai lekin
hijab-e-wahm-e-kasrat darmiyan hai
wahi wo hai nahin hai ghair ka daKHl
yahan be-KHud nigah-e-arifan hai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 94)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.