ye kya hawa mein uDe aur paron se sher kahe
ye kyā havā meñ uḌe aur paroñ se sher kahe
na.e parind se kah do sukūñ se sher kahe
jab ik ġhazal se na TuuTā vo somnāt-e-badan
to maiñ ne satrah na.e zāviyoñ se sher kahe
har ek shaḳhs pe khultā kahāñ hai bāb-e-atā
aziiz ham ne baḌī minnatoñ se sher kahe
suḳhan buland thā tum se so dekh lo ham ne
tumhāre ba.ad sabhī sar-nigūñ se sher kahe
bujhegī tishna-laboñ kī hamāre sher se pyaas
ye soch kar hī khule pāniyoñ se sher kahe
ḳhabar thī chhāñv ko tarsegā vo kabhī na kabhī
so 'rāz' ham ne bahut bargadoñ se sher kahe
ye kya hawa mein uDe aur paron se sher kahe
nae parind se kah do sukun se sher kahe
jab ek ghazal se na TuTa wo somnat-e-badan
to main ne satrah nae zawiyon se sher kahe
har ek shaKHs pe khulta kahan hai bab-e-ata
aziz hum ne baDi minnaton se sher kahe
suKHan buland tha tum se so dekh lo hum ne
tumhaare baad sabhi sar-nigun se sher kahe
bujhegi tishna-labon ki hamare sher se pyas
ye soch kar hi khule paniyon se sher kahe
KHabar thi chhanw ko tarsega wo kabhi na kabhi
so 'raaz' hum ne bahut bargadon se sher kahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.