ye kya kahte ho tujhse wasta kya
ye kyā kahte ho tujh se vāsta kyā
zarā phir to kaho tum ne kahā kyā
milā dī ḳhaak meñ turbat kisī kī
are o jaane vaale ye kiyā kyā
ḳhudā kā shukr hai achchhe haiñ sāhib
ajī bīmār-e-ġham kā pūchhnā kyā
savāl-e-vasl sun kar hashr Dhāyā
zarā sī baat par bigḌe haiñ kyā kyā
sabab kyā yaar tark-e-guftugū kā
batāo to huī mujh se ḳhatā kyā
tumheñ fursat kahāñ zikr-e-adū se
kahūñ tum se maiñ apnā mudda'ā kyā
diyā dil us but-e-kāfir ko 'shabnam'
are nādān ye tū ne kiyā kyā
ye kya kahte ho tujh se wasta kya
zara phir to kaho tum ne kaha kya
mila di KHak mein turbat kisi ki
are o jaane wale ye kiya kya
KHuda ka shukr hai achchhe hain sahib
aji bimar-e-gham ka puchhna kya
sawal-e-wasl sun kar hashr Dhaya
zara si baat par bigDe hain kya kya
sabab kya yar tark-e-guftugu ka
batao to hui mujh se KHata kya
tumhein fursat kahan zikr-e-adu se
kahun tum se main apna mudda'a kya
diya dil us but-e-kafir ko 'shabnam'
are nadan ye tu ne kiya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.