ye kya KHwab tumhaare nikle aur azab hamare
ye kyā ḳhvāb tumhāre nikle aur azaab hamāre
chhalkī-chhalkī āñkheñ lekin dil pāyāb hamāre
ye kyā shahr ke phuul bhī pūchheñ rañg-e-bahār kī ḳhaslat
ye kyā ḳhuun hamārā pahneñ ḳhud ahbāb hamāre
ye kyā bahte dariyā āñkheñ jalte sahrā paañv
ye kyā bujhā.e ab ke diloñ meñ bhī mahtāb hamāre
ye kyā tujh se pūchh ke ab maiñ apnā haal batā.ūñ
ye kyā apnā rizq bhī terā aur sailāb hamāre
ye kyā jin ko dekhnā chāheñ aur na dekheñ un ko
ye kyā āñkheñ bhuul na paa.eñ sab ādāb hamāre
ye kyā mehr-o-mohabbat nikleñ qahr-e-dayār ke qisse
ye kyā aañkh jo dekhe us par lab ġharqāb hamāre
mere āñgan merī khetī mujh kam-zāt sī akkhaḌ
tum zinda ki TuuT ke bikhreñ kab a.asāb hamāre
ye kya KHwab tumhaare nikle aur azab hamare
chhalki-chhalki aankhen lekin dil payab hamare
ye kya shahr ke phul bhi puchhen rang-e-bahaar ki KHaslat
ye kya KHun hamara pahnen KHud ahbab hamare
ye kya bahte dariya aankhen jalte sahra panw
ye kya bujhae ab ke dilon mein bhi mahtab hamare
ye kya tujh se puchh ke ab main apna haal bataun
ye kya apna rizq bhi tera aur sailab hamare
ye kya jin ko dekhna chahen aur na dekhen un ko
ye kya aankhen bhul na paen sab aadab hamare
ye kya mehr-o-mohabbat niklen qahr-e-dayar ke qisse
ye kya aankh jo dekhe us par lab gharqab hamare
mere aangan meri kheti mujh kam-zat si akkhaD
tum zinda ki TuT ke bikhren kab aasab hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.