ye kya ki baiTh gae gard-e-rahguzar ki tarah
ye kyā ki baiTh ga.e gard-e-rahguzar kī tarah
safar tamām karo dosto safar kī tarah
ruke jo raah meñ un par na-jāne kyā guzrī
hamīñ to dhuup hai ab sāya-e-shajar kī tarah
fazā fazā jo pareshāñ haiñ abr kī sūrat
sadaf sadaf vo mileñge kabhī guhar kī tarah
ġham-e-jahāñ kī tapish se sulag rahe haiñ badan
hayāt bhī hai kisī dasht ke safar kī tarah
kabhī to aa ki ho raushan charāġh-e-shām-e-visāl
mirā bhī ghar nazar aa.e kabhī to ghar kī tarah
ye kya ki baiTh gae gard-e-rahguzar ki tarah
safar tamam karo dosto safar ki tarah
ruke jo rah mein un par na-jaane kya guzri
hamin to dhup hai ab saya-e-shajar ki tarah
faza faza jo pareshan hain abr ki surat
sadaf sadaf wo milenge kabhi guhar ki tarah
gham-e-jahan ki tapish se sulag rahe hain badan
hayat bhi hai kisi dasht ke safar ki tarah
kabhi to aa ki ho raushan charagh-e-sham-e-visal
mera bhi ghar nazar aae kabhi to ghar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.