ye kya ki gali mein tera aana nahin hota
ye kyā ki galī meñ tirā aanā nahīñ hotā
is darja satānā bhī to achchhā nahīñ hotā
ham shahr-e-mohabbat meñ kareñ laakh charāġhāñ
jab tak na jale dil to ujālā nahīñ hotā
ham-zād mirā saath mire rahtā hai har-dam
jab saath vo hotā hai to phir kyā nahīñ hotā
fitrat meñ hai dariyā bhī samundar ke barābar
ye baat alag hai ki vo gahrā nahīñ hotā
asbāb kī muhtāj nahīñ raushnī dil kī
bujh jaa.e diyā tab bhī añdherā nahīñ hotā
barsoñ kī ravānī pe hai mauqūf ye vus.at
dariyā koī do din meñ to dariyā nahīñ hotā
rahtī haiñ mire saath tirī yādeñ bhī 'āqib'
maiñ room meñ apne kabhī tanhā nahīñ rahtā
ye kya ki gali mein tera aana nahin hota
is darja satana bhi to achchha nahin hota
hum shahr-e-mohabbat mein karen lakh charaghan
jab tak na jale dil to ujala nahin hota
ham-zad mera sath mere rahta hai har-dam
jab sath wo hota hai to phir kya nahin hota
fitrat mein hai dariya bhi samundar ke barabar
ye baat alag hai ki wo gahra nahin hota
asbab ki muhtaj nahin raushni dil ki
bujh jae diya tab bhi andhera nahin hota
barson ki rawani pe hai mauquf ye wusat
dariya koi do din mein to dariya nahin hota
rahti hain mere sath teri yaaden bhi 'aqib'
main room mein apne kabhi tanha nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.