ye kya lutf-e-shor-e-fughan rah gaya
ye kyā lutf-e-shor-e-fuġhāñ rah gayā
zamīñ rah ga.ī āsmāñ rah gayā
abhī nāma-bar ko ravāna kiyā
abhī kah rahā huuñ kahāñ rah gayā
tire lutf ne kī yahāñ tak kamī
jo pahle yaqīñ thā gumāñ rah gayā
mile ḳhaak meñ yuuñ ki mash.hūr hai
miTe yuuñ ki miTnā nishāñ rah gayā
vahī gardisheñ haiñ vahī chaal hai
sitam kaun sā āsmāñ rah gayā
rahī āshnā.ī faqat naam kī
vo naam āshnā-e-zabāñ rah gayā
maiñ vāmāñda aur kah rahā hai jaras
rahā jo pas-e-kārvāñ rah gayā
mirā naala barq-e-jahāñ-soz hai
agar yuuñ hī ātish-fishāñ rah gayā
bahut duur pahuñcheñ nigāheñ vale
vo parde meñ ab bhī nihāñ rah gayā
ye kāhil huuñ 'sālik' ġham-e-hijr se
vahīñ kā rahā maiñ jahāñ rah gayā
ye kya lutf-e-shor-e-fughan rah gaya
zamin rah gai aasman rah gaya
abhi nama-bar ko rawana kiya
abhi kah raha hun kahan rah gaya
tere lutf ne ki yahan tak kami
jo pahle yaqin tha guman rah gaya
mile KHak mein yun ki mashhur hai
miTe yun ki miTna nishan rah gaya
wahi gardishen hain wahi chaal hai
sitam kaun sa aasman rah gaya
rahi aashnai faqat nam ki
wo nam aashna-e-zaban rah gaya
main wamanda aur kah raha hai jaras
raha jo pas-e-karwan rah gaya
mera nala barq-e-jahan-soz hai
agar yun hi aatish-fishan rah gaya
bahut dur pahunchen nigahen wale
wo parde mein ab bhi nihan rah gaya
ye kahil hun 'salik' gham-e-hijr se
wahin ka raha main jahan rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.