ye kya maqam teri rahguzar mein aae hain
ye kyā maqām tirī rahguzar meñ aa.e haiñ
koī bhī ġhair nahīñ aur sab parā.e haiñ
hayāt jin ke tasavvur se jagmagā uTThe
vo tābnāk añdhere kahāñ samā.e haiñ
ye jurm hai to koī be-sabab nahīñ kartā
paḌī hai choT jigar par to muskurā.e haiñ
ham aur dil kī tabāhī pe ġhaur farmā.eñ
ye hādse to ka.ī baar pesh aa.e haiñ
paḌī hai jab bhī zarūrat subūt-e-yazdāñ kī
mire kivāḌ zamāne ne khaTkhaTā.e haiñ
vo inqalāb na jaane kab aa.egā 'ishrat'
jis inqalāb kī hasrat meñ jug bitā.e haiñ
ye kya maqam teri rahguzar mein aae hain
koi bhi ghair nahin aur sab parae hain
hayat jin ke tasawwur se jagmaga uTThe
wo tabnak andhere kahan samae hain
ye jurm hai to koi be-sabab nahin karta
paDi hai choT jigar par to muskurae hain
hum aur dil ki tabahi pe ghaur farmaen
ye hadse to kai bar pesh aae hain
paDi hai jab bhi zarurat subut-e-yazdan ki
mere kiwaD zamane ne khaTkhaTae hain
wo inqalab na jaane kab aaega 'ishrat'
jis inqalab ki hasrat mein jug bitae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.