Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kya tamasha hai jab bhi aae to guzre barq-o-sharar ban kar

Soz Sikandarpuri

ye kya tamasha hai jab bhi aae to guzre barq-o-sharar ban kar

Soz Sikandarpuri

MORE BYSoz Sikandarpuri

    ye kyā tamāshā hai jab bhī aa.e to guzre barq-o-sharār ban kar

    kabhī to Thahro sukūñ sūrat kabhī to aao qarār ban kar

    abhī to sab iḳhtiyār meñ hai phiroge be-iḳhtiyār ban kar

    tumhāre kūche se kushta-e-ġham uThegā jis din ġhubār ban kar

    abhī ho nā-āshnā-e-ulfat abhī ho nā-vāqif-e-mohabbat

    abhī kahāñ zindagī guzārī mirī tarah be-qarār ban kar

    umīdeñ karvaT badal rahī haiñ fasurda dil kalī khilī hai

    mire gulistān-e-zindagī meñ ye kaun aaya bahār ban kar

    tire va.adoñ pe ai sitamgar tujhe ḳhabar bhī nahīñ hai shāyad

    hazāroñ rāteñ guzār haiñ mujassam-e-intizār ban kar

    ye kya tamasha hai jab bhi aae to guzre barq-o-sharar ban kar

    kabhi to Thahro sukun ki surat kabhi to aao qarar ban kar

    abhi to sab iKHtiyar mein hai phiroge be-iKHtiyar ban kar

    tumhaare kuche se kushta-e-gham uThega jis din ghubar ban kar

    abhi ho na-ashna-e-ulfat abhi ho na-waqif-e-mohabbat

    abhi kahan zindagi guzari meri tarah be-qarar ban kar

    umiden karwaT badal rahi hain fasurda dil ki kali khili hai

    mere gulistan-e-zindagi mein ye kaun aaya bahaar ban kar

    tere hi wadon pe ai sitamgar tujhe KHabar bhi nahin hai shayad

    hazaron raaten guzar di hain mujassam-e-intizar ban kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now