ye kya tazad ab ke meri dastan mein hai
ye kyā tazād ab ke merī dāstāñ meñ hai
ik shā.iba-e-ḳhanda bhī āh-o-fuġhāñ meñ hai
mushtarka haiñ hamāre ilāj-e-ġham-e-hayāt
jo merī aartī meñ hai terī azaañ meñ hai
kaisī havā chalī hai ki jis kā koī shumār
bād-e-bahār meñ hai na ba.ad-e-ḳhizāñ meñ hai
sunte to the vasī.a bahut hai falak magar
vus.at kahāñ in āñkhoñ sī is āsmāñ meñ hai
sad-jalva rū-barū hai kahāñ par ruke nigāh
shoḳhī fulāñ fulāñ meñ nazākat fulāñ meñ hai
kis ke lahū se karnī hai sairāb nok-e-ḳhār
itnī to sūjh-būjh mire bāġhbāñ meñ hai
ye kya tazad ab ke meri dastan mein hai
ek shaiba-e-KHanda bhi aah-o-fughan mein hai
mushtarka hain hamare ilaj-e-gham-e-hayat
jo meri aarti mein hai teri azan mein hai
kaisi hawa chali hai ki jis ka koi shumar
baad-e-bahaar mein hai na baad-e-KHizan mein hai
sunte to the wasia bahut hai falak magar
wusat kahan in aankhon si is aasman mein hai
sad-jalwa ru-baru hai kahan par ruke nigah
shoKHi fulan fulan mein nazakat fulan mein hai
kis ke lahu se karni hai sairab nok-e-KHar
itni to sujh-bujh mere baghban mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.