ye kya waswase ham-safar ho gae hain
ye kyā vasvase ham-safar ho ga.e haiñ
sabhī rāste pur-ḳhatar ho ga.e haiñ
pukārā nahīñ tum ko ġhairat ne varna
ka.ī baar aakar idhar ho ga.e haiñ
na samjho hameñ kuchh shikāyat nahīñ hai
ki ḳhāmosh kuchh soch kar ho ga.e haiñ
kise ho ḳhabar dard-e-pinhāñ kī ai dil
jinheñ thī ḳhabar be-ḳhabar ho ga.e haiñ
ham apnī tabāhī pe bas muskurā.e
magar dāman-e-ġhair tar ho ga.e haiñ
tire bin hameñ maut bhī to na aa.ī
judā.ī ke din bhī basar ho ga.e haiñ
ye kya waswase ham-safar ho gae hain
sabhi raste pur-KHatar ho gae hain
pukara nahin tum ko ghairat ne warna
kai bar aakar idhar ho gae hain
na samjho hamein kuchh shikayat nahin hai
ki KHamosh kuchh soch kar ho gae hain
kise ho KHabar dard-e-pinhan ki ai dil
jinhen thi KHabar be-KHabar ho gae hain
hum apni tabahi pe bas muskurae
magar daman-e-ghair tar ho gae hain
tere bin hamein maut bhi to na aai
judai ke din bhi basar ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.