ye kya watira tumhaare nae nizam ka hai
ye kya watira tumhaare nae nizam ka hai
Saeed Nomani Muradabadi
MORE BYSaeed Nomani Muradabadi
ye kyā vatīra tumhāre na.e nizām kā hai
savāl sub.h kā thā aur javāb shaam kā hai
huī hai jab se mohabbat meñ merī rusvā.ī
tamām shahr meñ charchā tumhāre naam kā hai
jo tai kiyā hai mashīnoñ se aaj insāñ ne
vo fāsla to faqat mere ek gaam kā hai
ġhazal meñ lafz-e-adaq aa.ine pe patthar hai
jo sher sahl ho vo zindagī ke kaam kā hai
savāl ye nahīñ kis tarah koī jiitā hai
savāl aaj ke insāñ ke ehtirām kā hai
muazzizīn meñ un se baḌā hai ḳhauf mujhe
jinheñ ḳhayāl faqat apne ehtirām kā hai
uḌaao tum bhī buzurgoñ kā ai 'sa.īd' mazāq
ye faisla hī agar shahr ke avaam kā hai
ye kya watira tumhaare nae nizam ka hai
sawal subh ka tha aur jawab sham ka hai
hui hai jab se mohabbat mein meri ruswai
tamam shahr mein charcha tumhaare nam ka hai
jo tai kiya hai mashinon se aaj insan ne
wo fasla to faqat mere ek gam ka hai
ghazal mein lafz-e-adaq aaine pe patthar hai
jo sher sahl ho wo zindagi ke kaam ka hai
sawal ye nahin kis tarah koi jita hai
sawal aaj ke insan ke ehtiram ka hai
muazzizin mein un se baDa hai KHauf mujhe
jinhen KHayal faqat apne ehtiram ka hai
uDao tum bhi buzurgon ka ai 'said' mazaq
ye faisla hi agar shahr ke awam ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.