ye kyon kahun ki unhen haal-e-dil suna na saka
ye kyoñ kahūñ ki unheñ hāl-e-dil sunā na sakā
nazar meñ thā vo fasāna jo lab tak aa na sakā
mujhe kabhī ḳhalish-e-dil kā lutf aa na sakā
nazar uThī bhī to un se nazar milā na sakā
gunāhgār-e-mohabbat ko sab ne baḳhsh diyā
ki ye gunāh kisī kī samajh meñ aa na sakā
mire ḳhayāl meñ taḳhlīq-e-dil kā raaz ye hai
ki ishq vus.at-e-kaunain meñ samā na sakā
tirī talāsh meñ niklā hai dekhte kyā ho
vo bad-nasīb jo apnā surāġh pā na sakā
vahī nazar hai vahī dil vahī tamannā.eñ
jahān-e-ishq ko ḳhud ishq bhī miTā na sakā
vahī fasāna-e-dil hai vahī hikāyat-e-shauq
jise vo sun na sake aur maiñ sunā na sakā
baḌī kashish hai tire sang-e-dar meñ mere liye
sar-e-niyāz uThāyā to dil uThā na sakā
ye dil hai aur ye jān-e-hazīñ qusūr muaaf
tirī nazar kā taqāza samajh meñ aa na sakā
mujhe to hashr tak us kī najāt meñ shak hai
gunāh-e-ishq jise aadmī banā na sakā
ye ishq hai ki junūñ iztirāb hai ki sukūñ
maiñ dil ko bhuul gayā dil tujhe bhulā na sakā
yaqīn thā shab-e-va.ada zarūr aaoge tum
sahar tak ek sitāra bhī jhilmilā na sakā
tirā karam ki mujhe soz-e-zindagī baḳhshā
mirī ḳhatā ki use zindagī banā na sakā
fareb-e-ishq ne āñkheñ sī khol diiñ 'shāhid'
maiñ us ke ba.ad kisī kā fareb khā na sakā
ye kyon kahun ki unhen haal-e-dil suna na saka
nazar mein tha wo fasana jo lab tak aa na saka
mujhe kabhi KHalish-e-dil ka lutf aa na saka
nazar uThi bhi to un se nazar mila na saka
gunahgar-e-mohabbat ko sab ne baKHsh diya
ki ye gunah kisi ki samajh mein aa na saka
mere KHayal mein taKHliq-e-dil ka raaz ye hai
ki ishq wusat-e-kaunain mein sama na saka
teri talash mein nikla hai dekhte kya ho
wo bad-nasib jo apna suragh pa na saka
wahi nazar hai wahi dil wahi tamannaen
jahan-e-ishq ko KHud ishq bhi miTa na saka
wahi fasana-e-dil hai wahi hikayat-e-shauq
jise wo sun na sake aur main suna na saka
baDi kashish hai tere sang-e-dar mein mere liye
sar-e-niyaz uThaya to dil uTha na saka
ye dil hai aur ye jaan-e-hazin qusur muaf
teri nazar ka taqaza samajh mein aa na saka
mujhe to hashr tak us ki najat mein shak hai
gunah-e-ishq jise aadmi bana na saka
ye ishq hai ki junun iztirab hai ki sukun
main dil ko bhul gaya dil tujhe bhula na saka
yaqin tha shab-e-wada zarur aaoge tum
sahar tak ek sitara bhi jhilmila na saka
tera karam ki mujhe soz-e-zindagi baKHsha
meri KHata ki use zindagi bana na saka
fareb-e-ishq ne aankhen si khol din 'shahid'
main us ke baad kisi ka fareb kha na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.