Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kyon sochen ki wo dad-e-wafa dete to kya hota

Daulat Ram Sabir Panipati

ye kyon sochen ki wo dad-e-wafa dete to kya hota

Daulat Ram Sabir Panipati

MORE BYDaulat Ram Sabir Panipati

    ye kyoñ socheñ ki vo dād-e-vafā dete to kyā hotā

    jo rone par bhī pābandī lagā dete to kyā hotā

    lagā rakhī hai dil meñ aag un be-niyāzī ne

    na jaane jo vo dāman se havā dete to kyā hotā

    taḌapne ijāzat hai ye un mehrbānī hai

    vo hañs kar Taal jaate haiñ sazā dete to kyā hotā

    faqat kuchh daaġh siine meñ chhupā laa.e haiñ dīvāne

    ye pūñjī bhī jo rāhoñ meñ luTā dete to kyā hotā

    baḌe kāyāñ haiñ jin naam ham ne shaiḳh rakhā hai

    ye gaalī vo bhī ham ko barmalā dete to kyā hotā

    bahut achchhā huā mahfil se uTh ke chal diye 'sābir'

    bhare baiThe the koī gul khilā dete to kyā hotā

    ye kyon sochen ki wo dad-e-wafa dete to kya hota

    jo rone par bhi pabandi laga dete to kya hota

    laga rakhi hai dil mein aag un ki be-niyazi ne

    na jaane jo wo daman se hawa dete to kya hota

    taDapne ki ijazat hai ye un ki mehrbani hai

    wo hans kar Tal jate hain saza dete to kya hota

    faqat kuchh dagh sine mein chhupa lae hain diwane

    ye punji bhi jo rahon mein luTa dete to kya hota

    baDe kayan hain jin ka nam hum ne shaiKH rakha hai

    ye gali wo bhi hum ko barmala dete to kya hota

    bahut achchha hua mahfil se uTh ke chal diye 'sabir'

    bhare baiThe the koi gul khila dete to kya hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now