Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye lag raha hai rag-e-jaan pe la ke chhoDi hai

Ahmad Kamal Parwazi

ye lag raha hai rag-e-jaan pe la ke chhoDi hai

Ahmad Kamal Parwazi

MORE BYAhmad Kamal Parwazi

    ye lag rahā hai rag-e-jāñ pe ke chhoḌī hai

    kisī ne aag bahut paas aa ke chhoḌī hai

    gharoñ ke aa.ine sūrat gañvā ke baiTh ga.e

    havā ne dhuul bhī uupar uḌā ke chhoḌī hai

    ye ab khulā ki usī meñ mirī najāt bhī thī

    jo chiiz maiñ ne bahut aazmā ke chhoḌī hai

    havā jabr kahīñ biich meñ thamā nahīñ

    tirī galī bhī bahut dil dukhā ke chhoḌī hai

    'kamāl' dekhnā ye ḳhema-e-husain hai kyā

    kisī ne dil meñ koī shai jalā ke chhoḌī hai

    ye lag raha hai rag-e-jaan pe la ke chhoDi hai

    kisi ne aag bahut pas aa ke chhoDi hai

    gharon ke aaine surat ganwa ke baiTh gae

    hawa ne dhul bhi upar uDa ke chhoDi hai

    ye ab khula ki usi mein meri najat bhi thi

    jo chiz main ne bahut aazma ke chhoDi hai

    hawa ka jabr kahin bich mein thama hi nahin

    teri gali bhi bahut dil dukha ke chhoDi hai

    'kamal' dekhna ye KHema-e-husain hai kya

    kisi ne dil mein koi shai jala ke chhoDi hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye lag raha hai rag-e-jaan pe la ke chhoDi hai Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : Chandi Ka waraq (Pg. 60)
    • Author : Ahmad Kamal Parvazi
    • Publication : Surkhwab Publication (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now