ye lamhat-e-nau mera kya le gae
ye lamhāt-e-nau merā kyā le ga.e
kuchh aañsū gire the uThā le ga.e
nadī naale qadreñ bahā le ga.e
vafā le ga.e mudda.ā le ga.e
kise DhūñDte ho khaḌī naav par
sabhī fāsle nā-ḳhudā le ga.e
ye kaise jhakole the pindār ke
mujhe pañkh de kar uḌā le ga.e
chunā rahnumā un ko ye kyā kiyā
kahāñ se kahāñ naqsh-e-pā le ga.e
ghar āñgan meñ sone kā sūraj kahāñ
kiran tak paḌosī churā le ga.e
laboñ par kahīñ 'kālī-dās' ab nahīñ
baḌe naam 'guptā-razā' le ga.e
ye lamhat-e-nau mera kya le gae
kuchh aansu gire the uTha le gae
nadi nale qadren baha le gae
wafa le gae muddaa le gae
kise DhunDte ho khaDi naw par
sabhi fasle na-KHuda le gae
ye kaise jhakole the pindar ke
mujhe pankh de kar uDa le gae
chuna rahnuma un ko ye kya kiya
kahan se kahan naqsh-e-pa le gae
ghar aangan mein sone ka suraj kahan
kiran tak paDosi chura le gae
labon par kahin 'kali-das' ab nahin
baDe nam 'gupta-raza' le gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.