ye le de ke jine ka hasil hai goya
ye le de ke jiine kā hāsil hai goyā
na kuchh ham ne paayā na kuchh ham ne khoyā
kuchh is darja mānūs-e-ġham ho chukā huuñ
vufūr-e-masarrat meñ ghabrā ke royā
kiye hī kā phal hai ḳhushī ho ki ġham ho
vahī aaj kaaTā jo kal ham ne boyā
koī apne dāman ke dhotā hai dhabbe
yahāñ ham ne dāman se bhī haath dhoyā
uḌaa.e to dushman ne auroñ pe chhīñTe
magar apne dāman kā dhabba na dhoyā
mirī ġhaflatoñ par bhī rahmat hai us kī
mire saath merā muqaddar na soyā
'mubārak' ko tum ne to dekhā hī hogā
vo ghabrāyā-ghabrāyā vo khoyā-khoyā
ye le de ke jine ka hasil hai goya
na kuchh hum ne paya na kuchh hum ne khoya
kuchh is darja manus-e-gham ho chuka hun
wufur-e-masarrat mein ghabra ke roya
kiye hi ka phal hai KHushi ho ki gham ho
wahi aaj kaTa jo kal hum ne boya
koi apne daman ke dhota hai dhabbe
yahan hum ne daman se bhi hath dhoya
uDae to dushman ne auron pe chhinTe
magar apne daman ka dhabba na dhoya
meri ghaflaton par bhi rahmat hai us ki
mere sath mera muqaddar na soya
'mubarak' ko tum ne to dekha hi hoga
wo ghabraya-ghabraya wo khoya-khoya
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 90)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.