ye log hain kaise ki jinhen gham nahin hota
ye log haiñ kaise ki jinheñ ġham nahīñ hotā
mar jaa.e agar koī to mātam nahīñ hotā
har dard kī qismat meñ davā bhī nahīñ hotī
har zaḳhm kī taqdīr meñ marham nahīñ hotā
ho jaatā hai shādābī-e-ruḳhsār se mahrūm
vo phuul jo āsūda-e-shabnam nahīñ hotā
iz.hār-e-tamannā kī koī rut nahīñ hotī
iqrār-e-vafā kā koī mausam nahīñ hotā
har dar pe jo jhuk jaa.e use sar nahīñ kahte
sar vo hai ki jo vaar pe bhī ḳham nahīñ hotā
ye dard-e-mohabbat bhī ajab dard hai 'sābir'
baḌhtā hai to baḌhtā hai kabhī kam nahīñ hotā
ye log hain kaise ki jinhen gham nahin hota
mar jae agar koi to matam nahin hota
har dard ki qismat mein dawa bhi nahin hoti
har zaKHm ki taqdir mein marham nahin hota
ho jata hai shadabi-e-ruKHsar se mahrum
wo phul jo aasuda-e-shabnam nahin hota
izhaar-e-tamanna ki koi rut nahin hoti
iqrar-e-wafa ka koi mausam nahin hota
har dar pe jo jhuk jae use sar nahin kahte
sar wo hai ki jo war pe bhi KHam nahin hota
ye dard-e-mohabbat bhi ajab dard hai 'sabir'
baDhta hai to baDhta hai kabhi kam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.