ye log KHwab bahut karbala ke dekhte hain
ye log ḳhvāb bahut karbalā ke dekhte haiñ
magar ġhanīm ko gardan jhukā ke dekhte haiñ
sunā hai barf-ruteñ raushnī se Dartī haiñ
so ik charāġh ko ham bhī jalā ke dekhte haiñ
unheñ kaho ki kabhī jañgaloñ kī samt bhī aa.eñ
jo bastiyoñ meñ karishme ḳhudā ke dekhte haiñ
junūñ meñ koī izāfa nahīñ hai muddat se
ġhubār-e-jism bhī ab ke uḌā ke dekhte haiñ
ye dil hai Thahrī huī jhiil kī tarah kab se
ab is meñ phir koī patthar girā ke dekhte haiñ
phir ik ḳhayāl ko zanjīr kar diyā ham ne
phir ek naam ko dil se miTā ke dekhte haiñ
ye log KHwab bahut karbala ke dekhte hain
magar ghanim ko gardan jhuka ke dekhte hain
suna hai barf-ruten raushni se Darti hain
so ek charagh ko hum bhi jala ke dekhte hain
unhen kaho ki kabhi jangalon ki samt bhi aaen
jo bastiyon mein karishme KHuda ke dekhte hain
junun mein koi izafa nahin hai muddat se
ghubar-e-jism bhi ab ke uDa ke dekhte hain
ye dil hai Thahri hui jhil ki tarah kab se
ab is mein phir koi patthar gira ke dekhte hain
phir ek KHayal ko zanjir kar diya hum ne
phir ek nam ko dil se miTa ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.