ye mana chashm-e-nam se qafile ashkon ke tar nikle
ye mana chashm-e-nam se qafile ashkon ke tar nikle
Noor Ahmad Shaikh
MORE BYNoor Ahmad Shaikh
ye maanā chashm-e-nam se qāfile ashkoñ ke tar nikle
maza tab hai ki ashkoñ kī jagah ḳhūn-e-jigar nikle
banāyā thā jinheñ hamrāz ham ne dil kī dhaḌkan kā
vo farzāne ḳhud apnī āgahī se be-ḳhabar nikle
faqīh-e-shahr ko samjhā thā ham ne bhole-bhāle haiñ
magar qad se kahīñ do-chār gaz vo beshtar nikle
raqīboñ ke nishāne se fasīl-e-ishq kyā girtī
hasīnoñ ke magar kuchh vaar āḳhir kārgar nikle
Duboyā nā-ḳhudāoñ ne safīna mil ke ummat kā
qadam do-chār aage rahzanoñ se rāhbar nikle
ishāra terī nazroñ kā bhī thā lekin sar-e-mahshar
sabhī ilzām ai rashk-e-qamar mere hī sar nikle
chalo ham hī nikal jā.eñge misl-e-ḳhār gulshan se
kisī sūrat tirī hasrat bhī ai bedād-gar nikle
hamāre ishq ko ab aazmā le jis kā jī chāhe
kafan-bardosh maqtal meñ tire shorīda-sar nikle
usī ke husn-e-be-parvā ko detā huuñ duā.eñ 'shaiḳh'
ki jis ke faiz se merī ġhazal ke bāl-o-par nikle
ye mana chashm-e-nam se qafile ashkon ke tar nikle
maza tab hai ki ashkon ki jagah KHun-e-jigar nikle
banaya tha jinhen hamraaz hum ne dil ki dhaDkan ka
wo farzane KHud apni aagahi se be-KHabar nikle
faqih-e-shahr ko samjha tha hum ne bhole-bhaale hain
magar qad se kahin do-chaar gaz wo beshtar nikle
raqibon ke nishane se fasil-e-ishq kya girti
hasinon ke magar kuchh war aaKHir kargar nikle
Duboya na-KHudaon ne safina mil ke ummat ka
qadam do-chaar aage rahzanon se rahbar nikle
ishaara teri nazron ka bhi tha lekin sar-e-mahshar
sabhi ilzam ai rashk-e-qamar mere hi sar nikle
chalo hum hi nikal jaenge misl-e-KHar gulshan se
kisi surat teri hasrat bhi ai bedad-gar nikle
hamare ishq ko ab aazma le jis ka ji chahe
kafan-bardosh maqtal mein tere shorida-sar nikle
usi ke husn-e-be-parwa ko deta hun duaen 'shaiKH'
ki jis ke faiz se meri ghazal ke baal-o-par nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.