ye mana nit-nae fitne ajab ranjan-o-mehan jage
ye maanā nit-na.e fitne ajab rañjan-o-mehan jaage
magar ye bhī to dekho chār-sū kyā kyā chaman jaage
bujhe baiThe raheñ kab tak bas ab shīshe ko chhalkāo
lahū chahke nafas mahke ḳhirad nāche badan jaage
koī aisī bhī saa.at ho koī aisī bhī shab aa.e
ki merī hasrateñ so jaa.eñ terā bāñkpan jaage
kitāb-e-jism narmī se varaq andar varaq dekheñ
hijāb-e-shauq garmī se shikan andar shikan jaage
ḳhumār-e-be-dilī had se fuzūñ hai aur dil tanhā
koī aisī ġhazal chheḌo ki har dāġh-e-kuhan jaage
kaho gesu-e-mushkīñ se ki bādal jhuum kar uTheñ
zarā band-e-qabā kholo ki gul kī anjuman jaage
piyo vo shai jo ham piite haiñ jam piitā thā zamzam kyā
jise piine se ai vaa.iz na tan jaage na man jaage
ye mana nit-nae fitne ajab ranjan-o-mehan jage
magar ye bhi to dekho chaar-su kya kya chaman jage
bujhe baiThe rahen kab tak bas ab shishe ko chhalkao
lahu chahke nafas mahke KHirad nache badan jage
koi aisi bhi saat ho koi aisi bhi shab aae
ki meri hasraten so jaen tera bankpan jage
kitab-e-jism narmi se waraq andar waraq dekhen
hijab-e-shauq garmi se shikan andar shikan jage
KHumar-e-be-dili had se fuzun hai aur dil tanha
koi aisi ghazal chheDo ki har dagh-e-kuhan jage
kaho gesu-e-mushkin se ki baadal jhum kar uThen
zara band-e-qaba kholo ki gul ki anjuman jage
piyo wo shai jo hum pite hain jam pita tha zamzam kya
jise pine se ai waiz na tan jage na man jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.