ye mai-kashi ka sabaq hai nae nisab ke sath
ye mai-kashī kā sabaq hai na.e nisāb ke saath
ki ḳhūn-e-dil hameñ piinā hai ab sharāb ke saath
bas is yaqīn pe hotī haiñ laġhzisheñ aksar
ki rahmatoñ kā bhī daatā hai tū azaab ke saath
ye qurbatoñ kā ishāra hai yā judā.ī kā
jo zard phuul milā hai tire javāb ke saath
zarā vo saath bhī chalte haiñ lauT jaate haiñ
hijāb TuuT rahe haiñ magar hijāb ke saath
kahīñ hai tañgī subū kī kahīñ farāvānī
to phir giraft bhī maulā usī hisāb ke saath
agar raqīb nahīñ hai to kaun hai vo shaḳhs
dikhā.ī detā hai jo āj-kal janāb ke saath
ḳhayāl-e-sūd-o-ziyāñ aur husūl-e-manzil-e-ishq
zavāl-e-umr meñ jaise koī shabāb ke saath
faqat yuuñ shor machāne kā fā.eda kyā hai
sazā bhī denā zarūrī hai ehtisāb ke saath
hamāre ho to zarā khul ke e'timād karo
nayā savāl uThāte ho kyuuñ javāb ke saath
ye apne aap ko paanā hai tujh ko khonā kyuuñ
tamām umr kaTī hai is iztirāb ke saath
ye sab ġhurūb ke āsār haiñ ayaañ 'ādil'
ki saa.e baḌhne lage Dhalte āftāb ke saath
ye mai-kashi ka sabaq hai nae nisab ke sath
ki KHun-e-dil hamein pina hai ab sharab ke sath
bas is yaqin pe hoti hain laghzishen aksar
ki rahmaton ka bhi data hai tu azab ke sath
ye qurbaton ka ishaara hai ya judai ka
jo zard phul mila hai tere jawab ke sath
zara wo sath bhi chalte hain lauT jate hain
hijab TuT rahe hain magar hijab ke sath
kahin hai tangi subu ki kahin farawani
to phir giraft bhi maula usi hisab ke sath
agar raqib nahin hai to kaun hai wo shaKHs
dikhai deta hai jo aaj-kal janab ke sath
KHayal-e-sud-o-ziyan aur husul-e-manzil-e-ishq
zawal-e-umr mein jaise koi shabab ke sath
faqat yun shor machane ka faeda kya hai
saza bhi dena zaruri hai ehtisab ke sath
hamare ho to zara khul ke e'timad karo
naya sawal uThate ho kyun jawab ke sath
ye apne aap ko pana hai tujh ko khona kyun
tamam umr kaTi hai is iztirab ke sath
ye sab ghurub ke aasar hain ayan 'adil'
ki sae baDhne lage Dhalte aaftab ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.