ye maikash be-sabab tanha khaDe hain
ye maikash be-sabab tanhā khaḌe haiñ
to phir ye jaam kyoñ saare bhare haiñ
hamāre ġham bahut hī muḳhtasar haiñ
musalsal ham vahīñ ab tak khaḌe haiñ
anā ne aaj hī sūraj se jaanā
ye saa.e aaj kyoñ itne baḌe haiñ
bahāreñ duur se hī tak rahī thiiñ
ḳhizāñ ke ab yahī to faisle haiñ
tire dushman bahut saare haiñ 'tanhā'
tabhī to jism pe tere gaḌhe haiñ
ye maikash be-sabab tanha khaDe hain
to phir ye jam kyon sare bhare hain
hamare gham bahut hi muKHtasar hain
musalsal hum wahin ab tak khaDe hain
ana ne aaj hi suraj se jaana
ye sae aaj kyon itne baDe hain
bahaaren dur se hi tak rahi thin
KHizan ke ab yahi to faisle hain
tere dushman bahut sare hain 'tanha'
tabhi to jism pe tere gaDhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.