ye maine kab kaha achchha nahin hai
ye maiñ ne kab kahā achchhā nahīñ hai
vo achchhā hai magar mujh sā nahīñ hai
maiñ us par she'r kahnā chāhtī huuñ
magar misroñ meñ vo Dhaltā nahīñ hai
suḳhan-kārī hai kāvish raat din kī
ye nau se pāñch kā qissa nahīñ hai
vo kahtā hai ki ab ham kam mileñge
jo kahnā hai vo kyoñ kahtā nahīñ hai
jo kahte haiñ tumhāre paas sab hai
unheñ kaise batā.ūñ kyā nahīñ hai
ye main ne kab kaha achchha nahin hai
wo achchha hai magar mujh sa nahin hai
main us par she'r kahna chahti hun
magar misron mein wo Dhalta nahin hai
suKHan-kari hai kawish raat din ki
ye nau se panch ka qissa nahin hai
wo kahta hai ki ab hum kam milenge
jo kahna hai wo kyon kahta nahin hai
jo kahte hain tumhaare pas sab hai
unhen kaise bataun kya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.