ye maine kaun sa phal chakh liya hai wahshat mein
ye maiñ ne kaun sā phal chakh liyā hai vahshat meñ
barahna hone lagā phir maiñ apnī jannat meñ
ḳhudā buzurg-o-ġhanī ḳhalq mahv-e-qīl-o-qāl
faqīr shād-o-magan hujra-e-vilāyat meñ
ye sabr-o-shukr kī daulat mirī kamā.ī hai
paḌā huuñ varna tire sāya-e-aziyyat meñ
badan kī pyāsī sadāoñ ne ḳhud-kushī kar lī
maiñ jī rahā huuñ kisī yaad kī rifāqat meñ
tumhāre hijr-kade ke namak pe guzarāñ hai
‘azīz-tar hai ye ne'mat har ek ne'mat meñ
ḳhudā namāzeñ du'ā.eñ ye chille nazr-o-niyāz
maiñ e'tibār gañvātā rahā mohabbat meñ
ye main ne kaun sa phal chakh liya hai wahshat mein
barahna hone laga phir main apni jannat mein
KHuda buzurg-o-ghani KHalq mahw-e-qil-o-qal
faqir shad-o-magan hujra-e-wilayat mein
ye sabr-o-shukr ki daulat meri kamai hai
paDa hun warna tere saya-e-aziyyat mein
badan ki pyasi sadaon ne KHud-kushi kar li
main ji raha hun kisi yaad ki rifaqat mein
tumhaare hijr-kade ke namak pe guzaran hai
‘aziz-tar hai ye ne'mat har ek ne'mat mein
KHuda namazen du'aen ye chille nazr-o-niyaz
main e'tibar ganwata raha mohabbat mein
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 27)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.