ye maine kya kiya ki jafa aur baDh gai
ye maiñ ne kyā kiyā ki jafā aur baḌh ga.ī
jurm-e-vafā ke baa'd sazā aur baḌh ga.ī
gul-hā-e-rang-rang haiñ in ko nahīñ sabāt
chupke se ye sabā ne kahā aur baḌh ga.ī
ik barq-e-jāñ-faroz mire āshiyāñ ke paas
Thahrī bas ik zarā kī zarā aur baḌh ga.ī
ai rabb-e-do-jahāñ tirī rahmat ke maiñ nisār
kis jurm kī binā pe sazā aur baḌh ga.ī
'mumtāz' yuuñ to bazm meñ lākhoñ charāġh haiñ
aane se tere kuchh to ziyā aur baḌh ga.ī
ye main ne kya kiya ki jafa aur baDh gai
jurm-e-wafa ke ba'd saza aur baDh gai
gul-ha-e-rang-rang hain in ko nahin sabaat
chupke se ye saba ne kaha aur baDh gai
ek barq-e-jaan-faroz mere aashiyan ke pas
Thahri bas ek zara ki zara aur baDh gai
ai rabb-e-do-jahan teri rahmat ke main nisar
kis jurm ki bina pe saza aur baDh gai
'mumtaz' yun to bazm mein lakhon charagh hain
aane se tere kuchh to ziya aur baDh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.