ye maine mana kuchh usne kaha hai lekin kya
ye maiñ ne maanā kuchh us ne kahā hai lekin kyā
hamārā haal sab us ko patā hai lekin kyā
mirī salīb to rakhvā do mere kandhoñ par
qatār lambī hai vaqfa baḌā hai lekin kyā
rahī na paañv meñ jumbish na aañkh meñ ummīd
hamāre sāmne rasta paḌā hai lekin kyā
har ek shaḳhs muqaffal makān ke mānind
nagar meñ kuchh to yaqīnan huā hai lekin kyā
koī batāo kahāñ dūsrā qadam rakhūñ
dayār-e-zīst bahut hī baḌā hai lekin kyā
uThā ke le ga.iiñ 'ābid' ko maujeñ sāhil se
koī safīna use DhūñDhtā hai lekin kyā
ye main ne mana kuchh us ne kaha hai lekin kya
hamara haal sab us ko pata hai lekin kya
meri salib to rakhwa do mere kandhon par
qatar lambi hai waqfa baDa hai lekin kya
rahi na panw mein jumbish na aankh mein ummid
hamare samne rasta paDa hai lekin kya
har ek shaKHs muqaffal makan ke manind
nagar mein kuchh to yaqinan hua hai lekin kya
koi batao kahan dusra qadam rakhun
dayar-e-zist bahut hi baDa hai lekin kya
uTha ke le gain 'abid' ko maujen sahil se
koi safina use DhunDhta hai lekin kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.