ye makin kya ye makan sab la-makan ka khel hai
ye makīñ kyā ye makāñ sab lā-makāñ kā khel hai
ik fusūñ hai ye jahāñ sab āsmāñ kā khel hai
muddatoñ ke ba.ad koī ham se ye kah kar milā
kuchh nahīñ ye hijr bas āh-o-fuġhāñ kā khel hai
aaj sūkhe phuul jab ham ko kitāboñ meñ mile
sochne par yaad aayā bāġhbāñ kā khel hai
ek majnūñ se sar-e-bāzār jab pūchhā gayā
ishq kyā hai to kahā donoñ-jahāñ kā khel hai
sāhiloñ par dekhte haiñ jab taḌaptī machhliyāñ
ik sadā aatī hai ye mauj-e-ravāñ kā khel hai
gar 'sahar' us ko manānā hai to mahv-e-raqs chal
sun rahe haiñ aaj raqs-e-dil-barāñ kā khel hai
ye makin kya ye makan sab la-makan ka khel hai
ek fusun hai ye jahan sab aasman ka khel hai
muddaton ke baad koi hum se ye kah kar mila
kuchh nahin ye hijr bas aah-o-fughan ka khel hai
aaj sukhe phul jab hum ko kitabon mein mile
sochne par yaad aaya baghban ka khel hai
ek majnun se sar-e-bazar jab puchha gaya
ishq kya hai to kaha donon-jahan ka khel hai
sahilon par dekhte hain jab taDapti machhliyan
ek sada aati hai ye mauj-e-rawan ka khel hai
gar 'sahar' us ko manana hai to mahw-e-raqs chal
sun rahe hain aaj raqs-e-dil-baran ka khel hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.