Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye masala bhi hoga kabhi hal kisi tarah

Tahir Saood Kiratpuri

ye masala bhi hoga kabhi hal kisi tarah

Tahir Saood Kiratpuri

MORE BYTahir Saood Kiratpuri

    ye mas.ala bhī hogā kabhī hal kisī tarah

    yā'nī junūn-e-'ishq mukammal kisī tarah

    shab siyāhiyoñ ko ujālā banā.ūñgā

    mil jaa.e us aañkh kājal kisī tarah

    kachhve ne āsmān ko sar par uThā liyā

    ik aadh baar aa gayā avval kisī tarah

    shāḳh-e-‘ulūm is pe ba-zid hai ba-sad-shu'ūr

    zanjīr-e-pā banā.uñgī paa.el kisī tarah

    sūkhe hue daraḳht āñkhoñ meñ darj thā

    ho jaa.e sabz jism jangal kisī tarah

    ye kaun log haiñ are ye kaun log haiñ

    chup-chāp baiThte nahīñ pāgal kisī tarah

    kab tak chalegā dūsre logoñ ke paañv par

    ḳhud apne paañv par bhī kabhī chal kisī tarah

    rakkhūñgā maiñ vo qīmtī zamzam sañbhāl kar

    barsā jo us aañkh se bādal kisī tarah

    vo shaḳhs kul-jahān pe chhā jā.egā 'sa’ūd'

    chhuT jaa.e us ke haath se botal kisī tarah

    ye masala bhi hoga kabhi hal kisi tarah

    ya'ni junun-e-'ishq mukammal kisi tarah

    shab ki siyahiyon ko ujala banaunga

    mil jae us ki aankh ka kajal kisi tarah

    kachhwe ne aasman ko sar par uTha liya

    ek aadh bar aa gaya awwal kisi tarah

    shaKH-e-‘ulum is pe ba-zid hai ba-sad-shu'ur

    zanjir-e-pa banaungi pael kisi tarah

    sukhe hue daraKHt ki aankhon mein darj tha

    ho jae sabz jism ka jangal kisi tarah

    ye kaun log hain are ye kaun log hain

    chup-chap baiThte nahin pagal kisi tarah

    kab tak chalega dusre logon ke panw par

    KHud apne panw par bhi kabhi chal kisi tarah

    rakkhunga main wo qimti zamzam sanbhaal kar

    barsa jo us ki aankh se baadal kisi tarah

    wo shaKHs kul-jahan pe chha jaega 'sa’ud'

    chhuT jae us ke hath se botal kisi tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now