ye maslahat-andesh karam yaad rahega
ye maslahat-andesh karam yaad rahegā
saaqī tirī nazroñ kā bharam yaad rahegā
ġham yaad rahegā na alam yaad rahegā
ik hāsil-e-ġham rabt-e-baham yaad rahegā
but-ḳhāne kī azmat kā pata jis se milā hai
vo hādisa-e-dair-o-haram yaad rahegā
hai ahl-e-mohabbat ke liye ka.aba-e-maqsad
vo shoḳh tarahdār sanam yaad rahegā
us aañkh meñ aañsū the ki paiġhām-e-tabāhī
ehsās-e-gunahgārī-e-ġham yaad rahegā
us shoḳh kī nazroñ ko na bhūlegī ye mahfil
merā dil-e-dīvāna hī kam yaad rahegā
be-mehrī-e-dildār bhulā saktā hai lekin
'bāsit' ko vafāoñ kā bharam yaad rahegā
ye maslahat-andesh karam yaad rahega
saqi teri nazron ka bharam yaad rahega
gham yaad rahega na alam yaad rahega
ek hasil-e-gham rabt-e-baham yaad rahega
but-KHane ki azmat ka pata jis se mila hai
wo hadisa-e-dair-o-haram yaad rahega
hai ahl-e-mohabbat ke liye kaba-e-maqsad
wo shoKH tarahdar sanam yaad rahega
us aankh mein aansu the ki paigham-e-tabahi
ehsas-e-gunahgari-e-gham yaad rahega
us shoKH ki nazron ko na bhulegi ye mahfil
mera dil-e-diwana hi kam yaad rahega
be-mehri-e-dildar bhula sakta hai lekin
'basit' ko wafaon ka bharam yaad rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.