ye maslahat hai haqiqat ko KHwab likhna hai
ye maslahat hai haqīqat ko ḳhvāb likhnā hai
ruḳh-e-siyah ko yahāñ āftāb likhnā hai
mahak rahī haiñ ka.ī jin meñ phuul kī yādeñ
mujhe kuchh aise ḳhatoñ ke javāb likhnā hai
zalīl-o-ḳhvār the kal tak jo vaqt ke hāthoñ
ye hukm hai unheñ izzat-ma.āb likhnā hai
sadī ke chehre pe bikhrā hai jo lahū apnā
isī lahū se mujhe inqalāb likhnā hai
lage haiñ daaġh jo insāniyat ke dāman par
jabīn-e-vaqt pe un kā hisāb likhnā hai
kabhī jo dekhā thā merī udaas āñkhoñ ne
tumhāre naam vahī ek ḳhvāb likhnā hai
charāġh-e-fikr se 'irfān' raushnī le kar
kitāb-e-shab kā mujhe intisāb likhnā hai
ye maslahat hai haqiqat ko KHwab likhna hai
ruKH-e-siyah ko yahan aaftab likhna hai
mahak rahi hain kai jin mein phul ki yaaden
mujhe kuchh aise KHaton ke jawab likhna hai
zalil-o-KHwar the kal tak jo waqt ke hathon
ye hukm hai unhen izzat-maab likhna hai
sadi ke chehre pe bikhra hai jo lahu apna
isi lahu se mujhe inqalab likhna hai
lage hain dagh jo insaniyat ke daman par
jabin-e-waqt pe un ka hisab likhna hai
kabhi jo dekha tha meri udas aankhon ne
tumhaare nam wahi ek KHwab likhna hai
charagh-e-fikr se 'irfan' raushni le kar
kitab-e-shab ka mujhe intisab likhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.