ye mat puchho qissa kya tha
ye mat pūchho qissa kyā thā
kyā batlā.eñ guzrā kyā thā
ham ne do pal ke rele meñ
dekhā bhī to dekhā kyā thā
hijr-o-vasl aur rishte-nāte
chaar dinoñ kā mela kyā thā
lab ne hañs kar baat banā dī
kaun ye samjhā TuuTā kyā thā
sab ko apnā kar bhī tanhā
us se baḌh kar dhokā kyā thā
dil bhī ġham bhī aur sapne bhī
sab us ke the apnā kyā thā
'rāg' na dekhā ā.īna bhī
chehra mujh se kahtā kyā thā
ye mat puchho qissa kya tha
kya batlaen guzra kya tha
hum ne do pal ke rele mein
dekha bhi to dekha kya tha
hijr-o-wasl aur rishte-nate
chaar dinon ka mela kya tha
lab ne hans kar baat bana di
kaun ye samjha TuTa kya tha
sab ko apna kar bhi tanha
us se baDh kar dhoka kya tha
dil bhi gham bhi aur sapne bhi
sab us ke the apna kya tha
'rag' na dekha aaina bhi
chehra mujh se kahta kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.