ye mat samajhna faqir hun main
ye mat samajhnā faqīr huuñ maiñ
anā ke haq meñ kasīr huuñ maiñ
mujhe sitāra samajhne vāloñ
falak pe badr-e-munīr huuñ maiñ
hai munsifī mere dam se qaa.em
adālatoñ kī mushīr huuñ maiñ
hai mujh meñ zanjīr chāhatoñ kī
mohabbatoñ kī asiir huuñ maiñ
haqīqateñ mujh meñ ḳhema-zan haiñ
sadāqatoñ kī safīr huuñ maiñ
kahāñ ga.ī ishq kī vo shiddat
na tū vo rāñjhā na hiir huuñ maiñ
kahāñ rahā tīrgī kā aalam
azal se raushan-zamīr huuñ maiñ
sajā hai sheroñ meñ dard 'mīnā'
ġhazal ke lahje kī 'mīr' huuñ maiñ
ye mat samajhna faqir hun main
ana ke haq mein kasir hun main
mujhe sitara samajhne walon
falak pe badr-e-munir hun main
hai munsifi mere dam se qaem
adalaton ki mushir hun main
hai mujh mein zanjir chahaton ki
mohabbaton ki asir hun main
haqiqaten mujh mein KHema-zan hain
sadaqaton ki safir hun main
kahan gai ishq ki wo shiddat
na tu wo ranjha na hir hun main
kahan raha tirgi ka aalam
azal se raushan-zamir hun main
saja hai sheron mein dard 'mina'
ghazal ke lahje ki 'mir' hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.