ye mat socho thoDe se kya banta hai
ye mat socho thoḌe se kyā bantā hai
qatra qatra mil ke dariyā bantā hai
paude jaisā is ko sīñchnā paḌtā hai
aise thoḌī rishta gahrā bantā hai
kitne ḳhāke zehn meñ bante miTte haiñ
tab jā kar dhuñdlā sā chehra bantā hai
dekh kisī se koī bhī ummīd na rakh
is duniyā meñ kaun kisī kā bantā hai
sur se taal mile to lai ban jaatī hai
dil ke taar chhiḌeñ to naġhma bantā hai
bālīñ jab gandum kī puurī pak jaa.eñ
tab khetoñ kā rang sunahrā bantā hai
logoñ ko aksar ye kahte suntī huuñ
mar jaa.e insān to taara bantā hai
rishte jab saḌ jaa.eñ to badbū dete haiñ
mar jaa.eñ to un kā lāsha bantā hai
ghar ke andar aa kar us ko dekh zarā
logoñ ke aage jo achchhā bantā hai
ashkoñ se jab āñkheñ ḳhālī ho jaa.eñ
āñkhoñ kā dariyā tab sahrā bantā hai
sabr kā 'azrā' jab paimāna bhar jaa.e
chingārī se ġhussa sho'la bantā hai
ye mat socho thoDe se kya banta hai
qatra qatra mil ke dariya banta hai
paude jaisa is ko sinchna paDta hai
aise thoDi rishta gahra banta hai
kitne KHake zehn mein bante miTte hain
tab ja kar dhundla sa chehra banta hai
dekh kisi se koi bhi ummid na rakh
is duniya mein kaun kisi ka banta hai
sur se tal mile to lai ban jati hai
dil ke tar chhiDen to naghma banta hai
baalin jab gandum ki puri pak jaen
tab kheton ka rang sunahra banta hai
logon ko aksar ye kahte sunti hun
mar jae insan to tara banta hai
rishte jab saD jaen to badbu dete hain
mar jaen to un ka lasha banta hai
ghar ke andar aa kar us ko dekh zara
logon ke aage jo achchha banta hai
ashkon se jab aankhen KHali ho jaen
aankhon ka dariya tab sahra banta hai
sabr ka 'azra' jab paimana bhar jae
chingari se ghussa sho'la banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.