ye mazahir dekh kar iman se bhar jata hun main
ye mazāhir dekh kar īmāñ se bhar jaatā huuñ maiñ
aise uThtā hai yaqīñ ḳhud se ki Dar jaatā huuñ maiñ
rang huuñ aur āmad-o-raft-e-suḳhan apnī mirī
vaqt par aatā huuñ apne vaqt par jaatā huuñ maiñ
ḳhvāb huuñ aur sāmne aatā huuñ nīñdoñ meñ faqat
dekh tere baḳht se ai kārīgar jaatā huuñ maiñ
ye kuaañ hai ThanDe paanī kā baḌī shahrāh par
roz ho jaatā huuñ ḳhālī roz bhar jaatā huuñ maiñ
khīñch laatā huuñ kisī taht-us-sarā se apnā aap
puurī duniyā par chamaktā huuñ utar jaatā huuñ maiñ
jaise chashma phuuT paḌtā hai pahāḌoñ se ma'an
jaise dariyāoñ kā dhārā huuñ utar jaatā huuñ maiñ
ek tūfān-e-ziyā huuñ andhe ho jaate haiñ log
ek sailāb-e-balā huuñ jis ke ghar jaatā huuñ maiñ
abr huuñ aur jam' hotā huuñ chhatoñ ke vāste
ik havā huuñ aur shahroñ se guzar jaatā huuñ maiñ
apnī apnī bāriyāñ haiñ apnā apnā vaqt hai
ai mirī rau ruk yahāñ par ai hunar jaatā huuñ maiñ
ye mazahir dekh kar iman se bhar jata hun main
aise uThta hai yaqin KHud se ki Dar jata hun main
rang hun aur aamad-o-raft-e-suKHan apni meri
waqt par aata hun apne waqt par jata hun main
KHwab hun aur samne aata hun nindon mein faqat
dekh tere baKHt se ai karigar jata hun main
ye kuan hai ThanDe pani ka baDi shahrah par
roz ho jata hun KHali roz bhar jata hun main
khinch lata hun kisi taht-us-sara se apna aap
puri duniya par chamakta hun utar jata hun main
jaise chashma phuT paDta hai pahaDon se ma'an
jaise dariyaon ka dhaara hun utar jata hun main
ek tufan-e-ziya hun andhe ho jate hain log
ek sailab-e-bala hun jis ke ghar jata hun main
abr hun aur jam' hota hun chhaton ke waste
ek hawa hun aur shahron se guzar jata hun main
apni apni bariyan hain apna apna waqt hai
ai meri rau ruk yahan par ai hunar jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.