ye mera dil kahan hai ab tumhaari rajdhani hai
ye merā dil kahāñ hai ab tumhārī rājdhānī hai
mire dil par tumhāre dard-o-ġham kī hukmrānī hai
suno kuchh to kaho tum kyoñ bhalā yuuñ ruuTh baiThī ho
hamesha maiñ ne merī jaañ tumhārī baat maanī hai
mujhe koī nahīñ samjhā kisī ne bhī nahīñ jaanā
suno gar vaqt ho tum ko mire dil kī sunānī hai
maiñ sach ko sach hī kahtā huuñ ḳhushāmad kar nahīñ saktā
abhī kī to nahīñ merī ye aadat ḳhāndānī hai
tumhāre ġham ko rotā hai tum is par muskurāte ho
samajhte jhuuT ho sach ko tumhārī bad-gumānī hai
lagānā is se dil kā kyā khilaunā hai ye miTTī kā
ye duniyā khel bachchoñ kā na kuchh aanī na jaanī hai
batāne kī zarūrat kyā samajhtā huuñ tumhārā ġham
suno aañsū tumhāre dard-o-ġham kī tarjumānī hai
ye mera dil kahan hai ab tumhaari rajdhani hai
mere dil par tumhaare dard-o-gham ki hukmrani hai
suno kuchh to kaho tum kyon bhala yun ruTh baiThi ho
hamesha main ne meri jaan tumhaari baat mani hai
mujhe koi nahin samjha kisi ne bhi nahin jaana
suno gar waqt ho tum ko mere dil ki sunani hai
main sach ko sach hi kahta hun KHushamad kar nahin sakta
abhi ki to nahin meri ye aadat KHandani hai
tumhaare gham ko rota hai tum is par muskuraate ho
samajhte jhuT ho sach ko tumhaari bad-gumani hai
lagana is se dil ka kya khilauna hai ye miTTi ka
ye duniya khel bachchon ka na kuchh aani na jaani hai
batane ki zarurat kya samajhta hun tumhaara gham
suno aansu tumhaare dard-o-gham ki tarjumani hai
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 274)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.