ye mera dil usi se dil laga ke baiTh gaya
ye merā dil usī se dil lagā ke baiTh gayā
jo ek baar mirā dil jalā ke baiTh gayā
maiñ chāhtā thā vo mujh se chipak ke baiThī rahe
so jān-būjh ke battī bujhā ke baiTh gayā
jab us ko dekh ke aañsū ye sabr khone lage
maiñ us ke sāmne chashma lagā ke baiTh gayā
use mujhe chale jaane se roknā thā magar
vo be-hayā mujhe rasta batā ke baiTh gayā
yahī duā hai ki vo raat kaaT de puurī
maiñ jis charāġh pe paisa lagā ke baiTh gayā
mahal banā ke bhī mazdūr jhopḌī meñ rahā
jo ḳhud udaas thā sab ko hañsā ke baiTh gayā
ḳhudā ke baad kisī aur ko nahīñ chāhā
ḳhudā ke baad tirī raT lagā ke baiTh gayā
ye mera dil usi se dil laga ke baiTh gaya
jo ek bar mera dil jala ke baiTh gaya
main chahta tha wo mujh se chipak ke baiThi rahe
so jaan-bujh ke batti bujha ke baiTh gaya
jab us ko dekh ke aansu ye sabr khone lage
main us ke samne chashma laga ke baiTh gaya
use mujhe chale jaane se rokna tha magar
wo be-haya mujhe rasta bata ke baiTh gaya
yahi dua hai ki wo raat kaT de puri
main jis charagh pe paisa laga ke baiTh gaya
mahal bana ke bhi mazdur jhopDi mein raha
jo KHud udas tha sab ko hansa ke baiTh gaya
KHuda ke baad kisi aur ko nahin chaha
KHuda ke baad teri raT laga ke baiTh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.