ye mera mazaq-e-mohabbat nahin hai
ye merā mazāq-e-mohabbat nahīñ hai
maiñ kaise kahūñ ġham meñ rāhat nahīñ hai
ye kyā kah gayā ujlat-e-arz-e-ġham meñ
mujhe tum se koī shikāyat nahīñ hai
mohabbat samajh kī hadoñ se hai bāhar
samajh meñ jo aa.e mohabbat nahīñ hai
pashemāniyāñ haiñ fusūñ-kāriyāñ haiñ
in āñkhoñ meñ sab hai muravvat nahīñ hai
ġham-e-dil kahā tum se apnā samajh kar
shikāyat na samjho shikāyat nahīñ hai
samajh lo use ek sāz-e-shikasta
ki jis dil meñ dard-e-mohabbat nahīñ hai
na chhalke tirā aks-e-tasvīr jin meñ
un ashkoñ se dāman kī zīnat nahīñ hai
unheñ 'shauq' apnā ġham-e-dil sunā de
koī aur rāhat kī sūrat nahīñ hai
ye mera mazaq-e-mohabbat nahin hai
main kaise kahun gham mein rahat nahin hai
ye kya kah gaya ujlat-e-arz-e-gham mein
mujhe tum se koi shikayat nahin hai
mohabbat samajh ki hadon se hai bahar
samajh mein jo aae mohabbat nahin hai
pashemaniyan hain fusun-kariyan hain
in aankhon mein sab hai murawwat nahin hai
gham-e-dil kaha tum se apna samajh kar
shikayat na samjho shikayat nahin hai
samajh lo use ek saz-e-shikasta
ki jis dil mein dard-e-mohabbat nahin hai
na chhalke tera aks-e-taswir jin mein
un ashkon se daman ki zinat nahin hai
unhen 'shauq' apna gham-e-dil suna de
koi aur rahat ki surat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.