Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mere dil ki wusat hai kahan tak

Surayya Sultana Naseem Niyazi

ye mere dil ki wusat hai kahan tak

Surayya Sultana Naseem Niyazi

MORE BYSurayya Sultana Naseem Niyazi

    ye mere dil vus.at hai kahāñ tak

    zamīñ se le ke hadd-e-āsmāñ tak

    tumhārā husn hai kaun-o-makāñ tak

    kalī se gul se har ik gulsitāñ tak

    terī ulfat ne mujh ko kyā banāyā

    'atā hai hayāt-e-jāvedāñ tak

    kidhar pe barq sargardāñ phirī hai

    pahuñch paa.ī na mere āshiyāñ tak

    sunā.e dāstāñ ġhairoñ aksar

    na aa.ī apnī hālat zabāñ tak

    tere jaisā na koī dekh paayā

    nigāh-e-shauq phir aatī jahāñ tak

    pareshāñ ho ke ālām-e-jahāñ se

    ham aa.e aaj tere āstāñ tak

    'nasīm' aisā mirā hāl-e-junūñ hai

    hai is silsila sūd-o-ziyāñ tak

    ye mere dil ki wusat hai kahan tak

    zamin se le ke hadd-e-asman tak

    tumhaara husn hai kaun-o-makan tak

    kali se gul se har ek gulsitan tak

    teri ulfat ne mujh ko kya banaya

    'ata ki hai hayat-e-jawedan tak

    kidhar pe barq sargardan phiri hai

    pahunch pai na mere aashiyan tak

    sunae dastan ghairon ki aksar

    na aai apni hi haalat zaban tak

    tere jaisa na koi dekh paya

    nigah-e-shauq phir aati jahan tak

    pareshan ho ke aalam-e-jahan se

    hum aae aaj tere aastan tak

    'nasim' aisa mera haal-e-junun hai

    hai is ka silsila sud-o-ziyan tak

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now