ye meri baat ghalat Dhang se sunate hain
ye merī baat ġhalat Dhañg se sunāte haiñ
kuchh aur maiñ ne kahā thā ye kuchh batāte haiñ
tamām umr kabhī ham ne ye nahīñ sochā
ham aa.e kis liye aur kyoñ yahāñ se jaate haiñ
safar ye chaah kā hai sāz-bāz raah kā hai
ḳharāb-o-ḳhasta chalo apne ghar ko jaate haiñ
charāġhāñ un ke liye hai hamārī barbādī
ba-nām-e-raushnī ye bastiyāñ jalāte haiñ
tumhārī āñkhoñ ne dil ko asiir rakhā hai
tumhārī āñkhoñ meñ ham Dūbte hī jaate haiñ
hameñ sunāte haiñ vo dāstāñ na.ī se na.ī
phir is ke badle meñ ham shā.irī sunāte haiñ
tumheñ batā.eñ miyāñ hotā kyā hai baazī meñ
vo chaal chaltā hai to sab hī haar jaate haiñ
ham us se haath milāte haiñ haal pūchhte haiñ
ham us ko jānte haiñ ye use jatāte haiñ
ye meri baat ghalat Dhang se sunate hain
kuchh aur main ne kaha tha ye kuchh batate hain
tamam umr kabhi hum ne ye nahin socha
hum aae kis liye aur kyon yahan se jate hain
safar ye chah ka hai saz-baz rah ka hai
KHarab-o-KHasta chalo apne ghar ko jate hain
charaghan un ke liye hai hamari barbaadi
ba-nam-e-raushni ye bastiyan jalate hain
tumhaari aankhon ne dil ko asir rakha hai
tumhaari aankhon mein hum Dubte hi jate hain
hamein sunate hain wo dastan nai se nai
phir is ke badle mein hum shairi sunate hain
tumhein bataen miyan hota kya hai bazi mein
wo chaal chalta hai to sab hi haar jate hain
hum us se hath milate hain haal puchhte hain
hum us ko jaante hain ye use jatate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.