ye meri basti mein kya hua hai
ye merī bastī meñ kyā huā hai
jise bhī dekho Darā huā hai
hamāre is ḳhāna-e-alam meñ
jo hai vo terā diyā huā hai
'alam hamārā girā nahīñ hai
'alam hamārā uThā huā hai
mirī tirī be-ta’alluqī meñ
'ajab ta'alluq banā huā hai
sab us ke Tāñke udhaḌ ga.e haiñ
ye zaḳhm kis kā siyā huā hai
ham aaj kyā uTh ga.e haiñ jaldī
ki aaj sūraj chhupā huā hai
kabhī to aao ki ghar hamārā
tumhāre ghar se milā huā hai
maiñ apnī zid par DaTā huā huuñ
vo apnī haT par aḌā huā hai
Dhalegā din to ġhurūb hogā
abhī jo sūraj chaḌhā huā hai
jo mai-kade meñ na.e haiñ un ko
zarā sī pī kar nasha huā hai
jabīneñ un kī ghisī huī haiñ
jinheñ ye ḳhil'at 'atā huā hai
haiñ phuul zaḳhmoñ ke har shajar par
chaman hamārā khilā huā hai
tumhārī yādoñ kī ḳhushbuoñ se
badan hamārā basā huā hai
na jaane kal bastiyoñ meñ kyā ho
abhī to ḳhatra Talā huā hai
kahāñ hamārī hai jeb ḳhālī
ḳhudī kā sikka paḌā huā hai
ġhazal ye kaisī kahī hai tum ne
jo she'r hai vo Dhalā huā hai
ye meri basti mein kya hua hai
jise bhi dekho Dara hua hai
hamare is KHana-e-alam mein
jo hai wo tera diya hua hai
'alam hamara gira nahin hai
'alam hamara uTha hua hai
meri teri be-ta’alluqi mein
'ajab ta'alluq bana hua hai
sab us ke Tanke udhaD gae hain
ye zaKHm kis ka siya hua hai
hum aaj kya uTh gae hain jaldi
ki aaj suraj chhupa hua hai
kabhi to aao ki ghar hamara
tumhaare ghar se mila hua hai
main apni zid par DaTa hua hun
wo apni haT par aDa hua hai
Dhalega din to ghurub hoga
abhi jo suraj chaDha hua hai
jo mai-kade mein nae hain un ko
zara si pi kar nasha hua hai
jabinen un ki ghisi hui hain
jinhen ye KHil'at 'ata hua hai
hain phul zaKHmon ke har shajar par
chaman hamara khila hua hai
tumhaari yaadon ki KHushbuon se
badan hamara basa hua hai
na jaane kal bastiyon mein kya ho
abhi to KHatra Tala hua hai
kahan hamari hai jeb KHali
KHudi ka sikka paDa hua hai
ghazal ye kaisi kahi hai tum ne
jo she'r hai wo Dhala hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.