ye mere shahr ki taqdir nahin ho sakti
ye mire shahr kī taqdīr nahīñ ho saktī
raushnī zulm se tasḳhīr nahīñ ho saktī
tū ne dekhī hī nahīñ qurb meñ miTtī ḳhvāhish
tujh se is qurb kī tafsīr nahīñ ho saktī
jis ne tārīḳh ke aurāq se sīkhā hī na ho
us se ahvāl pe taqrīr nahīñ ho saktī
ik bharose kī imārat jo girā dī tum ne
ham se ab dūsrī ta.amīr nahīñ ho saktī
dil ke ahvāl to chehre pe likhe hote haiñ
is se baḌh kar koī tahrīr nahīñ ho saktī
ham ki majnūñ bhī nahīñ chāk-garebāñ bhī nahīñ
ham se is ishq kī tash.hīr nahīñ ho saktī
jaise kīchaḌ meñ kañval ḳhud ko bachā kar rakkhe
aisī har phuul se tat.hīr nahīñ ho saktī
ye mere shahr ki taqdir nahin ho sakti
raushni zulm se tasKHir nahin ho sakti
tu ne dekhi hi nahin qurb mein miTti KHwahish
tujh se is qurb ki tafsir nahin ho sakti
jis ne tariKH ke auraq se sikha hi na ho
us se ahwal pe taqrir nahin ho sakti
ek bharose ki imarat jo gira di tum ne
hum se ab dusri tamir nahin ho sakti
dil ke ahwal to chehre pe likhe hote hain
is se baDh kar koi tahrir nahin ho sakti
hum ki majnun bhi nahin chaak-gareban bhi nahin
hum se is ishq ki tashhir nahin ho sakti
jaise kichaD mein kanwal KHud ko bacha kar rakkhe
aisi har phul se tathir nahin ho sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.